Patna to Varanasi Tour Package
Naye Kashi Vishwanath Corridor mein darshan
Uttar Pradesh, India · 250 km from Patna (5–6 hrs by road)
Varanasi duniya ka sabse purana lagataar basa hua shahar maana jaata hai. Ganga ke kinare 84 ghat, Baba Vishwanath ka dham aur galiyon ki apni duniya.
Naye Kashi Vishwanath Corridor ne darshan ko bahut aasan bana diya hai. Shaam ki Ganga Aarti aur subah ki boat ride — dono Varanasi ke sabse yaadgar anubhav hain.
12 Jyotirlingon mein se ek. Naya corridor ghat se seedha mandir tak jaata hai.
Shaam ki Ganga Aarti ka mukhya ghat — 45 minute pehle pahunchiye.
Subah-e-Banaras ka aayojan sthal — yoga aur classical music.
Mahasmashan — kaha jaata hai yahan ki agni kabhi nahi bujhti.
Jahan Buddha ne pehla updesh diya. Dhamek Stupa aur museum.
Kashi ke kotwal — Vishwanath darshan se pehle yahan aana parampara hai.
Tulsidas ji dwara sthapit, mangalwar ko bahut bheed.
Dashashwamedh Ghat par garmi mein 7:00 PM aur sardi mein 6:00 PM. Boat se dekhne ka experience sabse achha hota hai.
2 din kaafi hain — ek din Vishwanath aur ghat, doosre din Sarnath aur subah ki boat ride.
Naye Kashi Vishwanath Corridor mein darshan
Date bataiye, hum poora itinerary aur rate bhej denge.